@LetsGetThisBread My friend advice me this time ki bhai PG kr lete hai apne apne optional se ya kisi bhi subject me bus PG honi jarui hai.. So i said OK..To be specific CUET PG ME kuch programme bhare hai.. Admission ke liye.
Bhai yahi par mai ek unsolicited advice dena chahunga jo mujhe bhi mili thi but maine maani nahi and abb mai heavily regret kar raha hu. Marzi ho toh consider karna ya fir you can chuck it off altogether.
If you are considering doing masters, I would suggest ki open se karo rather than kisi regular college/university se. Because regular course ke khoob chochle hote hai for eg, attendance, internals, assignments and what not. Inn sab mei kaafi time chala jaata hai and CSE ki tyaari ka satyanaash ho jaata hai. Also, naye naye log bhi contact mei aate hai toh usse bhi kahi na kahi asar padta hai.
Mai bhi 2020 mei join kara tha kisi ek central university ka regular masters course and meri tyaari has gone for a toss tbh. Prior to 2020, meri preparation rock solid chal rahi thi but masters ki vajah se sab gadbad hogaya.
Ek example deta hu apne case ka. Mere course ka last sem ka exam iss saal ke mid May se leke first week of June tak thay and side by side June 5 ka prelims bhi tha. I was planning to skip this year’s attempt but mujh par pressure bana ki iss saal ka attempt dena hai kisi bhi haal mei, so I decided ki college ka last sem drop karunga. Abb yeh realisation aayi drop karne ki, prelims se 30 dinn pehle, so mere paas Pre ki tyaari karne ka limited time tha. Iss limited time mei mai GS paper 1 ka max tyaari kar paaya but csat ko dhyaan nahi de paaya, and vohi hua jiska darr lag raha tha, 5 June ko GS1 ka sahi gaya but csat mei tabiyat vala fuck-up ho gaya. Abb na hee mains likh paa raha and naa hee degree hath mei aa rahi iss saal. :/
So inn baato ko consider karna decision lete huye. I’m saying this because I’m assuming you are trying to take admission in some regular course as you mentioned CUET.
Agar CSE ki tyaari aur regular course ke chochle ek sath manage kar paao toh boht hee Badia but aisa rarely hota hai. Mera course kuch aisa hai ki meri class ke 50 baccho mei se 45 bacche consider/want to give CSE but course hee itna hectic hogaya ki unn 45 mei se mujhe mila ke 1-2 aur hee hai jo college mei hone ke sath sath attempt bhi diye hai CSE ka, baaki 42-43 logo ne seedha kaha ki course complete hone ke baad hee attempt dengay kyuki time hee nahi milta tyaari karne ka sahi se, so I hope issey tum ek effective decision le paao. :)
Thanks for your valuable advice bro,
Actually kya hota hai ki jab Prelims fail hote hai to dimag kam krna band kr deta hai Aur sabki advice sahi lagne lagti hai is chakar me de dana dan form fill kar dete hai. Ki kahi kuch to hath lage aur bad me fas jate hai.. Aur ek do mahine bad sara cloud clear hota hai.. Aur chije clear samajh me ati hai.
Ab form fill Kar dia hai to exam de aunga.. Aur kahi admission hua to thik hai.. Nahi hua to bhi thik.. Baki preparation se no compromise.. Preparations is always on my top priority.
And deeply thanks again.
This is very relatable. I know I have to study but looking for jobs and other exams due to numerous advices.
Specially itti jaldi na padai pr full focus ho paa ra hai aur tension alag badd rahi hai.. kyuki pata bhi nahi chalega kab sept-Oct and then kab dec aa jayega.