[UPSC Interview 2021] – Transcript #170 : M. Sathiyavathy Board, Rajasthan Home State, History Optional

ForumIAS announcing GS Foundation Program for UPSC CSE 2025-26 from 27th May. Click Here for more information.

Date of Interview: 27 April morning session
Board:
Ms. M. Sathiyavathy
Home State: Rajasthan
Optional: History
Background: Bsc + MA (history )
TIME- 26_28 mint

(  Mask, gloves phn kar interview tha, face shield htwa di thi )


Chairman

  1. Jrf aap ne clear kiya hain PhD/ MPhil kar rhe ho ya ?
  2. UG or PG me aapne gap kyon liya tha
  3. 2018 k bad se kya kar rhe ho ?
  4. 4.aapki camel riding hobby hain
  5. Ye kese aapki hobby ho gyi hain ?
  6. Aapne horse riding ki hain ?
  7. Camel riding or horse riding me kya main deference hain ?
  8. Camel k aaj kal kya utilities hain ?
  9. Camel milk me kya kya hota hain ?
  10. Camel mill k medicine benifit kya hain

( Second mamber ki or ishara krte hue ,   qsn kijiye )

Member 1

  1. aap barmer se hain  Barmer me refinery ki kya progress chal rhi hain ?
  2. Barmer refinery k kya fayde hain ?
  3. Es refinery me barmer k alawa bahri crude oil use hoga? Kha se aayega?
  4. Rajasthan biofuels ki progress hain ?
  5. Biofuels k khan Khan centre hain
  6. Renewable energy of Rajasthan k bare m batahiye ?

Member 2

Qsn asked in English and qsn very long ( chairman mam ,  qsn nhi smjh me aa rha hain to anuvadak bualaun ? Yh UPSC ne  aapke liye hi  rakhe hain ? Bell bjakr , anuvadak ko bula kar bitha diya )

  1. Corona me Indian doctor ne , medicine bevjah likh di thi ?kya aap mante hain
  2. USA me medical me countie exam hote hain or India me doctor ki koi progress chek nhi hoti ? India ko kya krna chahiye ?
  3. China me corona se konse City effected hain ?
  4. China ki zero COVID policy kya hain ? Uske point batahiye ?
  5. Quad Kya hain?
  6. Quad k reform k 3 point btahiye ?
  7. Jammu, Kashmir,  laddakh 3no ko state banane chahiye? Some cross qsn

Member 3 

  1. Aapke district me only one river hain – Luni ? But irrigation me use nhi hoti ! Why?
  2. Barmer me desert hi desert hain

Eska development kese ho skta hain ? Some cross qsn

  1. Camel riding aapki hobby hain ! BSF kis border par use krti hain ?
  2. Barmer – Pakistan border ki challenge kya hain ?
  3. Barmer border me very less taskri hoti hain ? Punjab me bhaut jyada ! Esa kyoun hota hain ?

Member 4 ( only women releted qsn and corss qsn )

  1. Rajasthan ki women ki kya condition hain ?
  2. MMR kya hoti hain ?
  3. MMR full form?
  4. Women status Rajasthan me low level par kyun hain ?
  5. Ese improve krne k 3 upay bataiye ?
  6. Aapko lgta hain women marrige age , 21 kar deni chahiye ?
  7. Child marriage case esase or badh jayenge ?
  8. To kya 21 se aage bhi badha skte hain ?
  9. Thik hain ,Women empowerment ki 2 scheme bta dijiye

Chairman 

( Aapka interview ho gya hain , aap aarm se ja skte hain , face shield bahr lga dijiye )

Experience:-

Mock helpful hain, specially DAF k prepration me
Fact and New information khin bar hamre knowledge se bahr se aa skti hain, Esme confidence k sath sorry bol skte hain

All the best 👍



(This transcript has been posted by a community member of ForumIAS)
Print Friendly and PDF
Blog
Academy
Community