Interview Guidance Program (IGP) for UPSC CSE 2024, Registrations Open Click Here to know more and registration
Date of Interview: 15th Feb 2023, Forenoon Shift
Board: M Sathiyavathy
Background: B.A.(Psychology),M.A.(Hindi)
Optional: Hindi Literature
Home State: Madhya Pradesh
Hobbies: Watching Hindi Movies and Web series
Keywords in DAF: NCC( C Certificate), NSS, Scouts and Guides, Gwalior, Agriculture
2) Talking or Interaction with friends
- To view all IAS Interview Transcripts 2022, visit this page
Chairman
Ma’am ne sawal English mai puchhe(lekin pehle puchh liya tha ki aap English mai comfortable to hai na Lekin mai yahan unke questions ka Hindi Translation bta raha hun)
- Aapne Masters ke level pr Graduation ka subject kyon prefer/choose nahi kiya.
- Aapko Civil Servant banne ki prerna kahan se mili aur kab mili.
- ‘Geriatric’ ko WHO kaise define karta hai.
- Big 5 Personality Traits kaunse hai.
- Psychologist and Psychiatrist mai kya difference hai.
- Kya Psychiatrist counselling nahi kar sakta.
- Agar Psychiatrist bhi counselling kar sakta hai to Psychologist ki kya zarurat hai.
- India mai Mental Health Problems teji se kyon badh raha hai aur ise kaise kam kiya ja sakta hai.
- Mental Health Sector mai hum itne fail kyon hai aur Govt ko kya karna chahiye.
- COVID ke time pr to hum ghar pr hi the aur ghar walo se proper communication bhi kar rahe the phir bhi mental health us time theek nahi thi.
- Psychology ko aapne kyon apna optional subject nahi banaya.
- Ek situation di aur answer puchha.
Member 1
(Sawalo ka medium Hindi rakha inhone)
- Agnipath Scheme ka main objective kya hai.
- NCC mai to hum pehle se itni achhi training de rahe hai phir Agnipath jaisi scheme ka kya auchitya hai.
- NCC ke kya benefits hai.
- Aap Defence mai kyon nahi gaye.
- Aapko nahi lagta ki Agnipath Scheme se youth mai Defence ki or rujhan km ho jayega kyonki 4 saal ke liye kaun jaana chahega.
- Agniveer ke liye after retirement kya provision hai.
- Ab last sawal agar Agnipath Scheme itni hi achhi hai to kya hume ise Civil Services mai bhi laagu nahi kar deni chahiye.
Member 2
- SDG ke baare mai suna hai aapne?Kya hote hai?
- Hum aazadi ke 75 saal baad bhi Garibi khatam kyon nahi kar paye hai.
- Kya aaj ke civil servants mai colonial mindset dekhne ko nahi milta.
- Kayi logo ka manna hai ki aaj ke civil servants mai bhi colonial mindset badhta ja raha hai.aap kya mante hai?
- Garibi ko khatam karne ke liye naya kya hona chahiye.
- Kya 2001 ka Parliyament Terrorist Attack Intelligence Bureau ki vifalta thi.
- Uske baad humne Intelligence Bureau ke level pr kis prakar ke sudhar kiye hai.
Member 3
(English mai sawal puchhe)
- NCC,NSS aur Scouts and Guides mai kya difference hai.
- Aapko sabse adhik inme se kya pasand aaya ?
- India mai kya compulsory military service ko lagu karna chahiye ?Jaise ki Israel aur Russia mai hai.
- Indian Constitution mai compulsory military service se related koi provision hai kya.
- NCC ko promote karne ke liye naya kya kya kiya gaya hai haal ke samay mai.
- Kya NCC ko compulsory kar dena chahiye jaisa ki Indo-China War ke baad kiya gaya tha.
- NCC ki sthapna ka uddeshy kya tha.
- IB ke secret agents ke kaam koi pehchan nahi mil paati hum unhe kayi baar desh ka gaddar tak declare kar dete hai to kya aapko nahi lagta ki desh apne IB/RAW ke deshbhakto ke saath nyay nahi kar pata.
- EOL kya hai aur kya competitive exams ki preparation ke liye EOL lena theek hai.
- India,Israel aur Russia ki intelligence agencies ke kaamkaz ki shaili mai kya differences hai.
Member 4
- Gwalior ka Indian Culture mai kya contribution raha hai.
- Gwalior Gharana ke baare mai kuchh bataiye?Sangeet ka aisa mahan culture
- Gwalior mai develop kaise aur kyon ho paya?Gwalior ke kuchh mahan sangeetkaro ke naam bataiye.
- Gwalior mai Braj aur Bundeli culture ka mixture paya jaata hai?Kya aap is baat se sehmat hai?Agar sahmat hai to bataiye kaise?Example dijiye?
- Aap abhi bata rahe the ki adhikariyon ko aapne karib se kaam karte hue dekha hai to bataiye ki adhikari ke kaamkaj ke tariko mai aisi kya kamiyan hai jo desh ko 2047 tak Viksit karne ke marg mai badhak hain aur inhe kaise dur kar sakte hai.
Chairperson-Aapka interview khatam hua.Sabhi ne All the Best Kiya.
- To view all IAS Interview Transcripts, visit this page
- For full Interview Preparation Guide: Click Here
- Current Affairs For UPSC Exam 2023: Click Here
(This transcript has been posted by a community member of ForumIAS)
Discover more from Free UPSC IAS Preparation Syllabus and Materials For Aspirants
Subscribe to get the latest posts sent to your email.