Pre-cum-Mains GS Foundation Program for UPSC 2026 | Starting from 5th Dec. 2024 Click Here for more information
Date of Interview: 26/04/2022 Afternoon Session
Board: TCA Anant
Optional: Geography
Background: Civil Engineering
Home State: Bihar
Work: L&T and Deputy Collector (UT) (Currently Working as SDM Magh Mela)
Duration: approx 35 mints
Medium: Hindi
- To view all IAS Interview Transcripts 2021, visit this page
Chairman
( Mask hatane ko bole aur comfortable hone ko bole)
- DAF se 5-6 points padhne ke bad puchhe abhi kaha kaam kar rahe ho?
- Magh mela me SDM kya karta hai?
- Mela to khatam ho gaya, ab kya karoge aap?
- Maharajganj me kitne time ke liye posted the aur kya kya kam kiye waha?
- Maharajganj ka elaborated SWOT analysis kariye.
Member 1
- Magh Mela ka aitihasik praman kaha se milta hai aur kab se ye manaya jata raha hai?
- Cartographer kaun hote hai?
- Modern technologies se cartography me kya help mil sakti hai?
- Magh mela se kaun Raja sabse jyada prachalit hua tha?
- Sarkar kyun karati hai magh mela, sarkar ko development ke kam karne chahiye. Magh mela se development kaise ho sakta hai ?
- Magh mela me temporary tent city kyu? Permanent settlement kyu nahi, duplication of work kam ho jayega.
Member 2
- 9 Dash line aur 11 dash line kya hai?
- China PCA me Phillipines se ek island ka case haar gaya hai…kaun sa island hai wo?
- China ke liye Indo-Pacific me kaun kaun se choke points hain?
- Remote Sensing satellites kya krti hai?
- Uska use aur technical functioning bataiye kaise kaam karta hai?
- Magh mela jaisa UP ke 5 aur mahtvapurn melon ka naam bataiye.
Member 3
- Kitne din lagte hai mela ka pura arrangements karne me?
- Itna jyada time kyu?…sara fabrications to ready rahta hoga bas ja kar set-up kar dena hota hoga to itna samay akhir kyun?
- Maharajganj ka ODOP ke product ka naam bataiye.
- Aap Pvt aur Govt dono jagah kaam kiye hai , ek brief comparison dijiye.
- Aapke office me ek male adhikari ek mahila karmchari ko pareshan karta hai, aap kya karenge? Pura course of action samjhaiye.
- Aap whistle blower kaise ban sakte hai ? Apka locus standi hi nahi hai?( Maine bola tha ki sare prayason ke baad bhi agar mahila karmchari taiyar nahi hoti hai complaint karne ke liye to mai whistle blower ki tarah act karunga)
Member 4
- Naam bahut wajani hai, kisne rakha hai?
- Kinhi do personalities ke naam bataiye jo aapke anusar Karmveer kahe ja sakte hai.
- Bhagwan Krishna to hinsa me vishwas rakhte the wahi Gandhi Ahimsa me aap dono ko Karmveer kaise kah sakte hai?
- Karmveer matlab Hinsak ya ahimsak , ek chuniye.
- Bangaram Island kaha hai?
- Magh mela se to bahut pradushan failta hoga?
- Namami Gange ke 5 achievement aur present status ko samjhaiye.
- Iska dusra kya naam hai?
- Kitna outlay hai Namami Gange ka?
- India OBOR se kyu naraj hai?
Chairman
Aapka interview samapt ho gaya hai.
- To view all IAS Interview Transcripts, visit this page
- For full Interview Preparation Guide: Click Here
- Current Affairs For UPSC Exam 2022: Click Here
(This transcript has been posted by a community member of ForumIAS)
Discover more from Free UPSC IAS Preparation For Aspirants
Subscribe to get the latest posts sent to your email.