Pre-cum-Mains GS Foundation Program for UPSC 2026 | Starting from 5th Dec. 2024 Click Here for more information
Date of Interview: 5 Feb, 2024
Board: Lt. Gen. Raj Shukla
Optional: Sociology
Home State: Uttar Pradesh
Hindi medium
Daf- Diploma in civil engineering, b.a(Hindi , med history, education) , sociology optional , junior engineer in railways
- To view all IAS Interview Transcripts 2023, visit this page
Chairman
- Kaha se hai aap
- -maharajganj, up
- Ye kaha hai ??
- Aajkal charcha hai ki up eodb me bahut acha kar rha , Desh se bhi acha kr rha, Tamil Nadu se bhi behtar kar rha, India-us forum me gya tha waha videshi log bhi Aisa bol rhe hai.
- Kya sach me kuch badlaaw aaya h Jamin PE ya hawai baatein h ??couldn’t ans much
- E odb ki baatein ho rhi , pehle baatein hoti thi ki up me law and order kharab h ,
- Jungle raj h , kbhi sudhar nhi aa skta….
- To ye kaise hua h , kya leadership ke wajah se hua h? Ya bureaucracy ka v role h kuch …
- privatisation se kafi sudhar ho rha, kafi capital bhi hai private ke pas , kya sab chizo ko private ke hatho me de dena chahiye?
- ab sarkari kuch bhi ho jayega , Elon Musk to nhi ho payega na , innovation aur risk taking to private me hi behtar hai,(said isro)
- ha space mission me to isro thik h lekin commercial earning aur innovation me to abhi behtar nhi h na.
- Ha to nsil kya hai
- ha to Jo bhi hai , hai to wo v private hi na….
- -yes sir
Member 1
- Abhi aap sir se privatisation ki bat kr rhe the , Bharat ki privatisation policy kya hai?
- -said sorry sir
- aapke b.a me Hindi, medieval history , education hai lekin aapne optional sociology liya h , Aisa kyu ..
Member 2
- Aapne history bhi padha hai. aapko medieval history ka koun sa samay sabse behtar lgta h..
- Kyu Aisa kya hua tha Akbar ke samay me ki behtar lga.
- Acha fort bnne se kya fayda hua logo ka.
- History kaha jata hai ki kewal war aur battle ka varnan hai, kya aapko bhi Aisa lgta hai…
- History likhne wale to jyadatar darbari hua krte the, kya wo objective kahlayega ?
- Agar aapko itihas likhne ko mile to kya likhenge..
Member 3
- Ye odop ki kafi charcha ho rhi .. aapke jile ka kya odop hai .
- Ye odop se har jile se ek product chuna ja rha hai , kya fayda hai aur kya kiya ja rha hai chun ke…
- isi se milta julta gi tag hai…. Up ke 2-4 gi tag product btaiye jo kahi aur nhi paya jata ho…. Kya fayda hota h gi tag se…
- ye Indian railway institute Pune se aapne padhai ki hai ? (No sir only training)
Member 4
- aapke daf me composing ghazal hai… Kisse motivation lete h
- Kabse likh rhe hai aap .
- aap kis ghazalkar se prerna lete h ya aapko Jo pasand hai…
- Aajkal log railway se sasti ticket , safayi, time punctuality, services sab chahte h , in sabke chakkar me safety compromise nhi ho jata ? Kya kiya ja skta hai iske liye…
- Railway me cross subsidisation kafi hota hai , freight ke liye alag corridor hi kr Dena chahiye?
- Hmare yaha track bhi ban nhi rhe .. railway ka budget sara salary pension Dene aur interest Dene me chala jata tha…kaise badhega railway track..(capital expenditure)
- Private se built operate transfer pe bhi to kaam ho skta hai…
- cross subsidy se bhi kafi nuksan hota hai .. kya subsidy hata dena chahiye
- Yani ki ap maante ho ya aapke office me adikari log baat to krte honge ki suvidhaye badhaya jaye to log paise Dene ko taiyar hai…(maine kaha ki garibo ko targeted subsidy de skte h)
- ek taraf to aap kahte h ki kewal 11% garib bache h aur ek taraf aap 80 crore logo ko rashan dete h …. Itna antar kyu..
Chaliye thank you
- To view all IAS Interview Transcripts, visit this page
- For full Interview Preparation Guide: Click Here
- Current Affairs For UPSC Exam 2024: Click Here
(This transcript has been posted by a community member of ForumIAS)
Discover more from Free UPSC IAS Preparation For Aspirants
Subscribe to get the latest posts sent to your email.