[UPSC Interview 2023] – Transcript #124: Bidyut Behari Swain Board,Hindi literature Optional, Madhya Pradesh Home State, Chess, hindi poetry Hobby

ForumIAS announcing GS Foundation Program for UPSC CSE 2025-26 from 19 April. Click Here for more information.

Date of Interview: 12 February 2024
Board:
 Bidyut Behari Swain
Optional: Agriculture Engineering
Home State: Madhya Pradesh
Daf keywords – Agriculture Engineering, MP, Chess, public speaking, Hindi poetry, Hindi literature.

Time – 30 mins

( 6 log the board me including chairman)


Chairman

Aayiye baithiye… Bahut achcha mahoul tha sab happy happy..

  1. Aap Satna se hai vaha ke bare me kuch batayiye- ( mai Satna se nahi tha bs Satna district ke ek town se graduation tha, still I answered well.)
  2. Cement industries ke baare me batao kuch ?
  3. Main material kya hota usme?

( Dono questions unexpected lines par the )

Member 1

  1. Toh aap Satna me rahe hai vaha par main issues kya kya hai ?
  2. ( Me inside – Abbey yar mai dusre district se hu)
  3. aap Indian poetry likhte hai & recite karte hai, aapke fav poet kaun hai aur kyu ?
  4. fav poet ki kuch panktiyan sunao-
  5. aapne public speaking bhi ki hui hai.. ye kaise start ki aapne ?

Member 2

  1. Aap child education NGO volunteer rahe ho, aapko kya lgta hai kya improvement kiye ja sakte hai education system me ?
  2. bachcho ko exam stress se kaise door rakh sakte, solutions ?
  3. Digital detox se aap kya samjhte hai, kaise kare ise ?
  4. precision farming ko samjhte hai aap ? Isse related technologies batao

( yaad nahi aa rha ab aur bhi kuch kuch puchnha tha )

Member 3

  1. Indian Agriculture productivity related question tha
  2. how to increase yield?
  3. Indian kaha se wheat import krta hai ?
  4. global level par farmers ke kya issues chal rhe hai?
  5. Irrigation facilities me kya improvement kar sakte hai jo India ke liye suitable ho ?

Member 4

  1. Chess players related question
  2. why India doing good?
  3. Satna me ek industry thi jo pehle kaafi famous thi ab toh band ho gyi hai, aap jante ho use ?
  4. ( Me inside – 😒 )
  5. Fir unhone bataya ki.. Atlas cycle ki thi vaha se.. unka kuch nostalgic moment tha cycle se…
  6. ( Bahut hi relaxed and chill mahaul tha )

Member 5

  1. Unke questions bhool gya.
  2. Last me chairman sir, aap jaa sakte hai interview is over.. Thank you sir..
  3. -Special thanks to Mr. Vipul Garg sir for interview prep & One on one very helpful.

-Interview tips by Kanmani ma’am also helped me.

Thank you- Subhash ( Agricultural related discussion), Votercard ( Madhya Pradesh related), TY( Hindi lit), Sim( Child education), Biswa & Shikhar bhai ( Chess).



(This transcript has been posted by a community member of ForumIAS)
Print Friendly and PDF
Blog
Academy
Community